Launchorasince 2014
← Stories

Dard ki daastan or wo haseen muskaan..


Haaye..ye unki muskurahat...
Haaye..ye unki muskurahat...
Haseen hai itni ki fida saikdo ko karde...

Kaha unhone..

Jawaab diya haseena ne..

Dard gehre chupati h muskaan ye meri..
Dard gehre chupati h muskaan ye meri..
Tumhe ilm hi kya h taqleefon ka..
Aakhir anjaan hi ho tum..

Fir thoda theher kar farmaya..

Ye aankhein unki nasheeli hain itni..
Ye aankhein unki nasheeli hain itni..
Ki madhosh saikdo ko karde..

Has kar fir boli haseena..

Itne ashq bahayein hain in aankho ne..
Itne ashq bahayein hain in aankho ne..
Nasheeli kyon na hongi janaab..
Ashqon ke naam par..
Keher ka zeher barsaya hai aankho ne..

Thoda sehem gye..par ladkhadaye nahi..
Fir farmaye janaab..
Kaha ki..

Dil to mashallah esa uss haseena ka..
Ki jese daya ki moorat basi ho usme..
Paseej jata hai dusro ki zara si taqleef dekh kar..

Ab jawab esa tha ki aage janaab ko alfaaz hi nahin mile..

Dil zakhmi hai itna ki zakhmo ka marham dhundta hai.
Apni taqleefien to kam kar na sake..
Dusro ke dard kam karke apne dardon pe marham ferta hai..
Zakhmi dil aksar hi dard ki raahat k liye..
Dusro ke zakhmon ko musalsal choomta hai..