Launchorasince 2014
← Stories

Junoon


Tere ishq ka junoon iss qadar sawar mujhpar hai

Ke duniya jahan main bhul gayi

Samaaj ki har bandisho ko todhkar jane kaise dhire dhire main teri aur badh gayi

Apne soch Khayal pasand napasand sab chodhkar bas tere rang mein rang gayi

Sudh budh sab khokar main bas tere nashe mein ram gayi

Kahan thi itni himmat mujh mein jo main sab se ladh jaun

Kahan tha itna jazba mujhme ki kisi ke liye apna sab kuch chodh jaun

Ab hade mujhe kahan samajh mein aati hain bas tu teri khushi hi sabse upar aati hai

Na zamane ka dar hai ab mujhe na kisi aur ka

Bas teri hi justuju mein mere din barbaad hain

Tere ishq ka junoon iss qadar sawar mujhpar hai.....