Launchorasince 2014
← Stories

Pyaar..??

Ke wo ek sher arz karti hain kuch is tarah....

Ke..Maut ke behadd kareeb jakar..
Maut ke behadd kareeb jakar..
Mai zindagi ko pati hun....!!
Mai kho chuki hun use..
Mai kho chuki hun use..
Fir bhi boht chahti hun....!!

Ke wo apna pyaar manwane ke liye kya kehte hain...gaur farmaiyega....

Ke..na uske gam mein maut aayegi....na hi laut kar wo yaar aayega....
Ek nayi zindagi kar rahi hai intezaar....
Ek nayi zindagi kar rahi hai intezaar....
Hausla rakh mere mehboob....
Zindgi mein firse ek naya pyaar aayega....

To iske jwab me kya farmati hain....
Farmati hain ki....

Nayi zindagi ka hum istaqbaal karte hain....
Nayi zindagi ka hum istaqbaal karte hain....
Lekin us zindagi mein.....
Lekin us zindagi mein.....
Ek naye pyaar se hum inkaaar karte hain....

To ab baat aage badhti hai....kafi sanjeedgi se ek bar fir pyaar mnwane ki koshish ki jati hai....
Kehte hain ki....

Zindagi ke aangan mein....
Zindagi ke aangan mein....
Firse gulon ka gulzaar aayega....
Naye pyaar se ku inkaar hai tumhe....
Naye pyaar se ku inkaar hai tumhe....
Laut kar nahi dobara purani yaadon ka wo khumaar aayega....
Ek nayi zindagi ke sath pyaar par bhi tumhe firse aitbaar aayega....

To ab kaafi koshishein ho chuki aakhir me kya farmati hain....
Farmati hain ki....

Pyaar jise ek bar hum kho chuke hain....
Pyaar jise ek bar hum kho chuke hain....
Dobara kisi par bhi na aitbaar aayega....
Nayi zindagi to aayegi beshaq....
Nayi zindagi to aayegi beshaq....
Par us zindagi mein kabhi na pyaar aayega....