launchora_img

Bas ab ni..

Info

ye story India ke chote se town ki h.....normally town ka name sunte hi hamre mind m image aati h ek choti si jgh ki jha bade bade shopping mall ni choti choti shops h....jaha ke log high class society ke ni balki middle class ya lower middle class h....jaha bache road par gillli danda khlete mil jayege aur kuch senior citizens shops par baithe hue mil jate h......ha ye town b aisha sa hi h.....nothing different h.....aur isi town ke ek middle class family se belong krti h 'shakti'.......shakti ke papa town ke bank m manager h aur mami housewife......usse chote 1 bhai aur 1 bhan h...Shakti....name sun kar laga ki koi rough tough ladki hogi jo physically hard hogi something like that........lekin shakti just iske opposite thi........soft, dubli si....jyada dubli b ni...lekin thek thi......kam bolti thi....gussa....kbi kbi....lekin sirf kisi glat kam par hi aata tha use.........aishe normaly hi khud m hi khoye rhti thi............shakti ki mami sochti ki na jane wo pura din kya sochti rhti h.....jaise ki har indiasn teenage ke parents ko lgta h ki is umar m aakr unka bacha bigad na jaye.......glat sangat m na pad jaye.....blaw.....khair  shakti aisha kuch ni sochti thi.....wo to bas observer krti thi ki uske aas pas ho kya rha h.......log kaise react krte h.....wo kya krte h.....simply khe to wo logo ka mind read krne ki kosis krti thi....lekin aisha kam hi possible ho pata tha ki samjh jaye ki samne wala kya soch rha h..........shakti ke mami papa ko hamesha uski tenson rhti thi ki ye ladki khud ke liye kbi fight ni kar skti.....ye is layak ni h .....iski sadi ke bad hi hum chain ki saans lege..........jaisi ki usually har indian parents ko lgta h...........ki apni beti ko paraye insan ke hath m sompne ke bad unki tenson khtm ho jati h.....wo responsibility se free ho jate h..................ab aage ladki jane aur uska pati hame kya............shakti ki dimag m ye hi bate chalti rhti thi ki q is duniya  m log ladkiyo ke liye aisha sochte h.............insan ne aurat ko devi bana diya........aur devi ban krke uske sare haq, rights usse chen liye aur us par hi raj krne laga...........fir kya fayda aishe samman ka jo aapki freedom aapse chen le...........use aisha samman ni chahiye tha........chaiye thi to bas ek aishi life jisme wo apni marji se kuch kare....apni pasand se apni life jiye............


Shakti roj tution jati thi.....3 to 6.....PM.....uske colg ka last year tha......exams aane wale the aur jaisa ki har indian colg m hota h.......teacher class m ni balki coaching classes lete the.....age aapko unse padhna h to aapko coaching jana hoga.......wrna than than gopal............khair wo roj jati thi.......coaching class uske ghar se 2 km door tha..........jyada to ni h fir wo aaram se jati thi......ek sham ko b wo apne tution se vapas aa rhi thi......apne m hi magn....usne red color ka salvar kamej phna tha aur us par white duppata.........mmm.....usme achi lag rhi thi wo......sabne use ache comments diye the..........mami to use wo dress phne ni hi deti thi ....khti ki ise mat phna kar wrna kisi ki najar lag jayegi tje..........aur wo har bar apni ma ki aishi bato par has deti thi..........aishe hi wo apne khaylo m gum wo chali ja rhi thi raste par........uske ghar ka rasta main market se hokr jata tha..........bhut bhed bhad wali jagh thi ......wo bas chale ja rhi thi ki itne m use jhatka sa laga.........aur plak jhapkte hi 1 sec m.......wo shock ho gyi......uske dimag ne kam krna band kar diya....wo sunn  si khadi rha gyi.......bike par savar 2 ladke uske charo trf round laga rhe the..........uska white duppata lahra rhe the.......aur jor jor se has rhe the....wo sharminda si khadi thi........use smjh ni aa rha tha ki wo kya kre....wo ladke puri janta ke samne use sharminda kar rhe the...........use kuch samjh ni aa rha tha.....wha khade kisi insan se kuch ni kiya......sab bas khade hokr tamsha dekh rhe the.......koi kuch ni bola..............fir wo ladke uska duppata jameen par dal kar chale gye..........uski aankho m aansho aa rhe the......wo rona chahti thi jor jor se lekin ro ni pa rhi thi........usne khud ko sambhala.........jaise taise krke usne apna duppata sambhala aur ghar ki trf chali.......wo bas ghar pahuchna chahti thi jaldi se jaldi....ghar pahuchte hi usne darvaja band kiya aur jor jor se saans lene lagi......itne m uski mami ne use dekha......wo uske pas aayi...."Shakti kya hua?.....bata to shi...tu itni ghabrayi hui q h?....bata na.....bolti q ni???...mera dil baitha ja rha bata kya hua???"..........usne bolna suru kiya."ma wo....ma wo...wo jab m coaching se ghar vapas aa rhi thi tab kuch badmasho ne mera dupatta le liya aur.....aur....mere charo aur chakkar katne lag gye.......ffiir..ffirr..fir wo duppata neche dal kar bhag gye..".......itna bolte hi Shakti ki aanko se aanso apne aap bhar niklne lag gye......uski ma sunn ho gyi ....usne shakti ke papa ko phone krke ghar bulaya......"ni ni ye bat bhar ni jani chahiye wrna hamri bhut badnami hogi aur police ke chakkar m to padna hi bekar h....wo log hajar saval puchege fir kon katega court ke chakkar....ni ni rhne do....jo ho gya so ho gya....agr ye bat jayegi to kon karega isse sadi......sadi ki umar ho rhi h iski....mamle ko yhi rafa dafa karo......kal se iska coaching jana band.....na rahega bans aur na bajegi bansori......koi jarurat ni h ise coaching bhejne ki.......jo b padhna h wo ghar par hi padh legi......."..Shakti ne jab apne papa ke muh se ye sabd sune to mano uski duniya tham si gyi thi.......jin papa ko wo itna samman karti thi uske unhi papa ko shakti ki self respect ki bilkul b chinta ni thi.....chinta thi to bas apni fake reputation ki........wo kya kaergi ab......uske bar 2 hi raste the ...phla to jo papa bol rhe h chupchap use man ko aur khud ki najro m gir jao aur dusra tha ladayi....1 aishi ldayi jisme wo akeli thi....uska sath dene wala koi ni tha....ladayi 1 ladki ke self respect ki.......ab tay use krna tha ki use kya karna h.........

Shakti apne papa ke pas gyi aur boli.."papa m coaching ni chodogi.....m un logo ke karan apni padhayi to ni chod skti ho na.....isme meri kya glati h.....aap mje q saja de rhe ho.....agr aap mera sath ni dena chahte ho to na shi....lekin aap mje rok q rhe ho" .....

"hum jo b kah rhe h wo sirf tere bhale ke liye kah rhe h.....are kya kar legi tu hann....bata kya karegi....police m jayegi case file karegi....lekin kiske khilaf......are aishi bate aaye din hoti rhti h.......kis kis ko rokegi tu....are tu ladki h ladki......samjhti q ni h....sadi ni hogi teri....kon sadi karega aishi ladki se fir.....q hame jeete jee mar rhi h tu.......tuje itna bada kya is din ke liye kiya tha........kya is din ke liye tje padhaya likhaya tha.....nak katvayegi kya hamari samaj m..."papa ne kha.

Shakti ab sab kuch har chuki thi......use ni samjh aa rha tha ki kya kare....kise kahe.......uske parents jinko wo bhagwan manti h wo aaj use ye sab bol rhe h.....kya glti h uski....wo ladki h....kya ye glati h uski??...jiski saja use chukani pad rhi h......jin logo ne sabke samne uske self respect ko kuchla tha wo aaj b bhar ijjat ke sath ghum rhe h aur wo.....wo itni jillat sahan karne ke bad b apni ghar m dubak kar baith jaye......uski apni family ne uska sath dene se mana kar diya lekin q???.......

chahe kuch b ho jaye wo apni bejjati ka badla lekar rahegi.....use justice chahiye lekin wo b apne tarike se......use pata h police kuch ni karegi....qki koi b unki khilaf gavahi ni dega.......isliye uske pas ab sirf 1 hi rasta bacha tha........

wo chupachap apne kamre m aagyi.......use pata tha ki uske gharwale uski bat ni manege....islye unse bahas krna bekar tha........isliye usne unse ummed chod di....

Bed par latne ke bad wo us accident ko bar bar yad kar rhi thi taki koi clue mil jaye.....achank wo bed se uthi aur usne papar par 1 no likhna suru kiya......are ya use bike ka no ya tha...aur jo bike par peche baitha tha uski sakal b use ache se yad thi..........uski sakl to wo kabi ni bhul skti thi........usne apna phone uthaya aur apne 1 classmate ko call kiya...."Hello Ravi.....ha Shakti bol rhi ho"....

"ha bol na"

"yar 1 bike ka no. h....mje pata lagvana h ki ye bike kiski h aur us insan ka address kya h...actually bhut important h....i guess uncle ye kam karva skte h....plz tu unko request karega ye krna ke liye.....bhut urgent h plzz"

"ok ..m papa ko bol doga lekin hua kya???..i mean tje q trace krna h??"

"m abi tumhe kuch ni bata skti ho lekin tum mje Riya aur Saket ke sath kal Mehar ke ghar milna ....tumhe sab pata chal jayega....plz yar ye samjhna ki ye jindagi aur maot ka saval h"

"heyy....it's ok....m jarur kal ye pata loga aur hum kal milte h sab okk" 


1 Launcher recommend this story
launchora_img
More stories by raina
His Dirty Wife

untold fantasy

00
It hurts...

it's about life

40
what is love???

let's talk about love...but from a different point of view

11

Stay connected to your stories

Bas ab ni..

238 Launches

Part of the Something Else collection

Published on July 08, 2015

Recommended By

(1)

    WHAT'S THIS STORY ABOUT?

    Characters left :

    Category

    • Life
      Love
      Poetry
      Happenings
      Mystery
      MyPlotTwist
      Culture
      Art
      Politics
      Letters To Juliet
      Society
      Universe
      Self-Help
      Modern Romance
      Fantasy
      Humor
      Something Else
      Adventure
      Commentary
      Confessions
      Crime
      Dark Fantasy
      Dear Diary
      Dear Mom
      Dreams
      Episodic/Serial
      Fan Fiction
      Flash Fiction
      Ideas
      Musings
      Parenting
      Play
      Screenplay
      Self-biography
      Songwriting
      Spirituality
      Travelogue
      Young Adult
      Science Fiction
      Children's Story
      Sci-Fantasy
      Poetry Wars
      Sponsored
      Horror
    Cancel

    You can edit published STORIES

    Language

    Delete Opinion

    Delete Reply

    Report Content


    Are you sure you want to report this content?



    Report Content


    This content has been reported as inappropriate. Our team will look into it ASAP. Thank You!



    By signing up you agree to Launchora's Terms & Policies.

    By signing up you agree to Launchora's Terms & Policies.