Waise to kuch khaas rakha nahi hai iss Zindagi mai,
Par pata nahi kyon thoda aur jeene ki khawish hai baaki,
Khuda tu utha bhi lega to dukh rahega,
Kyonki iss dil ki kuch guzarish hai baaki,
Baar baar dil wahi sab duhrana chahta hai,
Gam ke un palo ko zehen se laga ke hi rakhna chahta hai,
Kabhi kabhi samjh nahi aata ki chahta kya hai,
Jis ne gum diya uski ki salamat ki dua har roz mangta hai,
Kabhi kabhi lagta hai jaise sub kuch dekh liya,
Wo dard, wo asun, wo bewafai, lagta hai jaise ab bass sab ho gaya,
Par fir lagta hai abhi dekha hi kya hai,
Abhi to use dulha bante dekhna bhi bacha hai,
Uski baraat to aayegi par humare ghar nahi,
Uss baraat ke din khud to mahtam manate bhi dekhna hai,
Rakha to kuch nahi hai iss Zindagi mai,
Par fir bhi zinda rehkar unko jeete hue aur khud to roz tadapte hue dekhna hai....