Launchorasince 2014
← Stories

Maaa! :)


Jeevan ka aadhaar hoti hai Maa!
Saccha saathi hoti hai Maa!
pyaar ka majboot dhaaga,
Kabhi na rulaane wali hoti hai Maa!
Bhagwaan ka Doot,
Zindagi ki pehli pariksha hoti hai Maa!
Aasani se sehne wali,
Yug-Yug me badalti hai,
Kalyug me bhi Satyug hoti hai Maa!
Uchit rah par laane wali,
Jeevan ka pehla guru hoti hai Maa!
Sirf yehi nhi..
Badi se badi galti bhula dene wali hoti hai Maa!