Launchorasince 2014
← Stories

Pulwama

Kuch yaaden liye to kuch vaade liye,

Mai uss din ghar se nikla duty ke liye,

Kuch pyar bhare ehsaas liye,

Kuch maa ke aasu liye,

Mai uss din ghar se nikla duty ke liye,

Raste bhar sochta raha,

Kuch na kuch mere dil mai chalta raha,

Ek maa ko chodke dusri ki seva ko chala,

Ghar ke kuch rishte chodkar naye ristedaro ke saath chala,

Kaise karunga seva apni maa ki iss baar,

Jab dushman barsayenge goliya baar baar,

Aise marunga waise marunga,

Goliyon se challi karke use jala dunga,

Aisa sabak sikhaonga iss baar,

Murd ke naa dekh paayega woh agli baar,

Yahi sab sochte hue mai manzil tey kar raha tha,

Mai uss din ghar se duty ko ja raha tha,

Pata nahi kaise mere sare sapne mar gaye,

Ladne se pehle hi mai aur mere kai bhai shaheed ho gaye,

Ha mai us shaheed ki awaz hoon jo uss din pulwama mai mara gaya!

Bharat maa ka beta hoon unki goud mai so gaya,

Takleef to bass yeh hui ki bina dushman ko mare shaheed ho gaya,

Meri ek vinti hai mere hi desh vasiyon se,

Badla lena meri maut ka par mat lena mere hi bhaiyon se,

Jo shaheed hua uss din woh na hindu tha na musulman tha,

Woh to bass Bharat maa ka beta aur ek Javan tha,

Jisne maara woh bhi na hindu tha na musulman tha,

Insaan ki khaal mai chupa desh kadushman woh haivaan tha,

Sab ek saath jurdke meri maa ki rakhsa karo,

Bharat maa ko apno ki jaroorat hai bhed bhaw ab tum na karo,

Ha mai uss shaheed ki awaz hoon jo uss din pulwama mai shaheed hua,

Jis mitti se paida hua ussi mitti mai hi so gaya...