"Wahi prem kahani"
Chalo aaj sunaye phir wahi kahani,
Ek tha Raja aur ek thi Rani,
Dono mile aur shuru hui prem kahani.
Raja dil se Raja tha aukat se nahi,
Rani se sacha pyar ho gaya tha koi iktefaak nahi.
Rani humari bade ghar ki thi,
Zameen pe paav bhi kabhi kabhi rakhti thi.
Phir bhi inn dono mai mohabbat ho gayi,
Ek baar phir mohabbat galat sabit ho gayi.
Ab mohabbat yeh sab kaha dekhti hai,
Kal kya hoga yeh kaha sochti hai.
Ab inn dono ne to kar li thi mohabbat,
Inhe nahi chaheyen tha koi dhan ya koi daulat.
Par janab yeh zamana mohabbat kaha samjhta hai,
Yeh to bass rupiya, paisa aur aukaat dekhta hai.
Ab Raja pe yeh teeno hi nahi the,
Dil mai mohabbat aur aankhon mai uss mohabbat ke sapne saje the.
Duniya ke baat sunte sunte ek baar to Raja ke kasam bhi dagmaga gaye,
Usko Rani se kuch sawal poochne par majboor kar gaye.
Raja ne poocha kyon karti ho mohabbat mere paas to daulat bhi nahi?
Tumhe to shayad sapne mai bhi paane ki meri aukaat nahi!
Rani boli, hume tumse yeh umeed na thi,
Tum bhi humari mohabbat pe ungli uthaoge yeh umeed na thi!
Tumse mohabbat kyon hui iski humpe koi wajah nahi hai,
Par tumse hi kyon hui iss baat ka jawab zaroor hai.
"Tumhe pehli nazar mai dekhte hi tumse pyar ho gaya tha,
Tumhari hume chahne ke ada pe yeh dil lut gaya tha."
Par tumne bhi aaj poocha hai to sunn lo,
Ishq tumse nahi tmhari rooh se karte hai,
Tumhare saath jeena ka na sahi sahi to saath marne ka waada aaj hum tumse karte hai.
Yeh sunke Raja ka dil ro pada,
Ab wo to bass Rani mai apni duniya dekhne laga.
Bass ab in dono ko fikr kaha thi,
Zindagi saath mukamal na hui to maut to saath thi.
Yeh duniya aur log kaha mohabbat samjhte hai?
Yeh to prem kahani sunte hi sajish bunne lagte hai!
Raja aur Rani ko shayad apna anjaam pata tha,
Par dono ka hosla aur mohabbat phir bhi atal tha.
Kya mohabbat sirf jee ke ki jaati hai?
Marne par to rooh rooh ke saath jaati hai aur prem kahani amar ho jaati hai!
Bass yahi soch ke baithe the Raja aur Rani,
Ki ek din amar hogi unki bhi prem kahani.
Par unki kahani amar ho na saki,
Rani sirf Raja ki ho na saki.
Rani ke shaadi ho gayi,
Yeh sunke Raja ki zindagi tabha ho gayi.
Uss raat to jaise aandhi aayi,
Aur agle din do premiyo ki maut ki khabar aayi.
Jeekar na sahi aakhir markar ab wo saath hai,
Kam se kam ab unka pyar azad hai.
Kab tak aakhir pyar aise hi Azad hoga?
Kya kabhi sach mai iss duniya ko pyar manjoor hoga?
Jo bhi ho wo to waqt batayega,
Par Raja to har kahani mai Rani ko hi chahega!!!