launchora_img

Illustration by @dariaesste

SAWAL continued

Info


Aj un sawalo se mera koi wasta ni hai jo mene pichli dafa puche the esa mai apne aap ko samjha rahi thi par mushkil is bat ki thi ki mera dil is baat ko samajhne ko tayar hi nahi tha, mujhe samajh hi ni ata hai ki esi kon si dor hai jo mujhe thujh sang abhi bhi bandhi hui hai???

Shayad wo dor tu khud hi hai jisne mujhe apne aap se bandhe rakha hai. Hansi aati hai khud pe mujhe ye bolte hue ki jo baat tu mujhse kahne se jhijhakta hai wahi baat isharo isharo me samjha jata hai, ya fir ye bhi kah sakte hai ki puri kaynat mujhe ye ishara karne me jut jati hai ki tu mujhse hi pyar karta hai.Par sunna to mai tujhse hi chahti hu par ye kab hoga pata nahi ???

Yahi sawal mene pichle saal bhagwan ke samne phir rakh diya or bhagwan ne bhi apni presence show karne me koi kasar nahi chodhi esi ki mai dang rah gai ki kya sach me esa hua ? Par sach tha ki bas ek itafak ye to nahi pata magar hum bhagwan ki presence ko nazarandaz nahi kar sakte actually mere cases me to esa hi hota hai.

Actually hua yu ki ek din dukan me bahut bhid thi or mai us bhid me phasi thi shayad mujhe kahi or dekhne ka samay bhi na tha par achanak se kuch esa hua ki bas 1sec ke lie mera dhyan road ki taraf muda us 1sec ke baad mera sar to wapas apni jagah ghum gaya par mera dhyan wapas nahi aa raha tha. Esa isliye hua kyunki us bhid bhare din me, sorry wo shaam thi 6 September 2018 Thursday ki shaam Us din yu to bahut si gadiya ja rahi thi mere dukan ke samne se par ek maroon colour ki gadi guzri , uski khidki khuli thi or usme se koi sar bahar nikal ke jhak raha tha or wo tabhi jhaka jab gadi meri dukan ke samne aai , gadi samne aate hi mera dil dhak utha mano ki tu mere aas-pas ho or meri nazar bhi bahar gai or mene wahi dekha jo mene thodi der pehle bataya ,par gadi ke nikalne ka samay bahut kam tha shayad 1 se 2sec, to mujhe clear ni dikha ki kon tha par mere dil ne kah diya tha ki wo tu hi hai or mene man me kaha ki hai bhagwan agar ye wo hi tha to aap mai jab mandir aau shaniwar ko to aap mujhe use dikhana to mai samajh jaungi ki wo gadi wala wahi tha .Bas itna kah kar mai apne kam me lag gai dukan me bhid jo thi.

Phir aya Shaniwar 8 September 2018 us din meri mummy ka birthday tha to mujhe mandir jana tha or mere mandir jane ke raste me padta tha tera ghar. Ha par us samay mujhe wo Thursday wali baat yad nahi thi. Mai subah mandir ko nikli or jese hi ATM wale turning pe aai to dekha ki uske piche ke gaddhe me kisi ki car gir gai hai or gaurds use JCB machine se nikalne me lage hai,  waha ek aadmi bhi khada tha shayad wo usi ki gadi thi bahut pareshan tha, Mai us samay gadi chala rahi thi, ye sab dekhte dekhte esa lag raha tha ki kahi mai unbalance hoke na gir jau to jhatke se mene apna sar samne kiya to dekha ki tu apni mummy ko ghar se bahar leke aa raha hai gadi dikhate hue, sach me!!! agar us samay mene apna sar samne na ghumaya hota to mai tujhe dekh hi nahi pati kyunki meri gadi tere ghar se aage nikal gai hoti par mujhe tujhe dekhna hi tha isliye esa hua uske baad to mai sab bhul gai bas yahi yad tha ki mene aaj tujhe dekha hai Khushi se pagal ho rahi thi, sabhi ko Khushi se batati ki aaj ATM ke piche ek car gir gayi hai mene dekha par ye to bas sirf jaban pe tha dil me to har baar ye yad karti thi ki mene tujhe dekha, ye bat to mene mandir ke pandit se boli or bolte bolte dekha ki pandit ji murti par kuch laga rahe the to mene unse pucha ki ye kya kar rahe ho to unhone bataya ki ye sham ke puja ki tayari ho ri hai, aaj shaniwar hai sham ko jarur ana aaj ki puja -aarti bahut alag hoti hai. Par mene kaha meri chutti to Friday ko rahti hai na aap Friday ko bhi esi puja kijiega na to mai jarur aaungi to pandit ji ne kaha nahi ye puja to Shaniwar ko hi hoti hai to aaj hi ana or jo prasad diya hai wo bhi sham ko hi milega to jarur ana , to mene kah diya bhagwan ki ichcha hogi to mujhe jarur bula lenge mujhe sochne ki jarurat nahi hai or mai phir waha se nikal gai apni hi dhun me gate hue sara din bita rahi thi “teri galliyan”.HIHIHI hai na comedy.

Us sham mummy ki tabyat kharab ho gai to mai dukan nahi khol pai or mummy ke dawai lete hue mandir chali gai prasad lene,dekha mene kaha tha na Bhagwan ko jisko jab apne pas bulana hota hai wo apne tarike se bula lete hain hum use samajh bhi nahi pate esa hi us din mere sath hua.

Phir kya mai line me lag gayi prasad lene ke lie bhagwan ke murti ke adhbhut darshan bhi kar lie us din pehli baar. Line me lage hue mene apne bagal waqli line me ek uncle ko dekha wo mujhe bahut jane pehchane lag rahe the par yaad nahi aa raha tha ki wo kon hai phir dimag pe jor dala to yad aya ki ye to wahi uncle hai jo mujhe subah dikhe the ATM ke pas ,jinki gadi gadhe me gir gayi thi shayad wo bhagwan ko dhanyawad dene aye the apne thik thak bachne ka. Phir un uncle ka number mujhse pehle aya or wo pandit ji se baat karne lag gaye or mai bhi unki baate kaan laga ke sun rahi thi to mene suna “mai subah mandir aa hi raha tha apne bulaya tha na magar ATM ke mod par mere phool ka packet meri seat se niche gir gaya or mujhe bhi kya sujha nahi pata mai turning pe gadi modte hue us packet ko  uthane ke lie jhuk gaya or mere jhukte hi gadi ATM ke piche wale gadhe me chali gayi par bhagwan ki kripa se mujhe kuch nahi hua bas kandhe me laga or kahi chot nahi aai agar gadi thodi si bhi aage jati to mai daldal me gir jata par esa kuch nahi hua isliye abhi patni ke sath aya hu ashirwad lene ” in lines ke baad unke bich kya baat hui mujhe nahi pata kyunki mera dimag to iske baad ghum chuka tha bas wo hi dikh raha tha aankho me 6 September ki sham ‘wo gadi ka jana , kisi ka jhankna or mera kehna “agar ye wahi hai to aap mujhe use Saturday ko dikhaoge bas phir mai samajh jaungi ki mera dil sahi kah raha hai”’. Or mene tujhe sach me dekha us din , uske baad mai bilkul shant si ho gai mujhe samajh hi nahi aa raha tha ki ye kya hua kya sach me bhagwan ne meri baat rakhne ke lie tujhe dikha dia or tujhe dikhane ke lie us uncle ki car gadhe me gira di mujhe kuch samajh hi ni aa raha tha , subah ki jitni Khushi thi wo ab ek khamoshi me badal chuki thi kyunki mera dil or dimag ek sath nahi aa raha tha . Dil kehta ki ye sach hai or dimag nahi manta. Phir kya mere samne ek or sawal aa gaya jiska jawab sirf tu hi de sakta hai ki us din sach me tu hi tha ki ye sab jo bhi hua bas ek itafak tha???

Ye itafak kuch 2010 ke itafak se milti julti thi jab mene bhagwan se kaha tha ki agar tu sach me mera pati hai to aaj hi mujhe teri kam se kam ek jhalak to dikhaye or sach me us sham mujhe teri ek jhalak dekhne ko mili jo mere samajh se pare thi Shayad tere bhi.

Magar us 8 September 2018 ki sham mere sar se ek dosh to mit hi gaya or wo tune hi mitaya ,are kya hua ki us din mandir jane ke bahane sham ko tere ghar ke samne se nikli ye soch kar ki subah ki tarah kya pata sham ko bhi tu dikh jaye par esa nahi hua kyunki thik usi samay tu mere ghar ke chakkar kat raha tha par mai waha nahi thi , ye baat mujhe Jamuna ne batayi shayad kuch ek do mahine ke baad par us din usne ye to vishwas kar liya ki tu ata hai mere ghar ke samne kyunki isse pehle mai jab bhi kisi se ye kahti ki mene tujhe dekha hai apne ghar ke samne se gujarte hue to sab meri bato ko jhut hi samajhte the. Par us din ke baad se kisi ne esa nahi kaha thank you. Par sawaal to ye hai tujhse ki mai tere ghar ke chakkar katti hu ye to samajh aa gaya par tu kyu???

Esa pehli baar nahi tha ki tu mere ghar ya dukan ke samne se gujra ho ye silsila bahut samay se chale aa raha tha. Mere papa ke jane ke baad November 2015 se mene dukan par baithna shuru kia. Bahut badi ladai hai janti thi or bahut lambi bhi par akele ladne ki himmat thi to chal padi is raste me. Koi nahi tha sath dene ko par ek aas si thi ki tu kabhi na kabhi aaega mera sath dene par tu aaj tak nahi aya…

Papa ke gujarne ke 4-5 din baad Ruchika ka call aya raat me baat karne ko mujhse to usne bataya ki jis train se wo wapas Bhilai gai usi train se tu bhi gaya tha wo bhi uske samne wali seat me baitha tha to usne tujhse pucha ki kya tujhe malum hai ki Srishti ke papa ab nahi rahe to tune “ha pata hai ” kaha or waha se uth kar chala gaya jese ki tu kisi chiz se bhag raha ho , nazare chura raha ho , par kyu tune kya kiya hai pyar to mujhe hua hai na tujhse guilt to mujhe hai is baat ka ki mene tujhse pyar kiya , tujhe kis baat ka dar jo mujhse chehra chupa ke bhag jata hai , ye mujhe aaj tak samajh nahi aya par ye to tuhi bata sakta hai na….

Or ye chiz mere baad, mere sath sirf Jamuna ne dekhi thi or us baat ko agar wo yaad kare to wo aaj bhi hasti hai tu mujhe dekhte sath kis tarah nazar churane lagta hai, kese ghabra jata hai or jyada hua to waha se bhag hi jata hai, are ye wo training wale samay ki baat hai , yaad hai tujhe , ha ye baat to tu bhul nahi sakta hai mujhe malum hai. Hum Balco me training ke liye gae the mere sath Nidhi thi ye June 2014 ki baat hai mai waha Nidhi ke sath ja to rahi thi par dil me strong feeling thi tu bhi waha aaega par ye baat mai kisi se nahi kah paa rahi thi. Or wese bhi isse pehle mene tujhse apni sari baate bata di thi par tune kuch nahi kaha tha bahut samay beet chuka tha mene bhi tujhse baat nahi ki thi or man hi man bhagwan se boli ki hai bhagwan ab mere samne use tabhi lana agar wo mujhse sach me pyar karta ho, to is karan se mera dimag ye manne ko tayar nahi tha ki tu aega . Par mai bahut baichain thi us samay dil jor jor se dhadak raha tha esa tha ki mujhe pura ehsas tha ki tu aaj mujhe milega hi isliye mujhe bahut ghabrahat ho rahi thi andar jane me .Magar jab mai andar gai to tu waha nahi tha kuch samay baad jab tak hamari class shuru nahi hui mai ek round bhi laga kar aai ki shayad tu kahi dikh jaye par tu nahi dikha to mujhe apni vyakulta vyarth lagne lag gai or mujhe laga ki shayad mene kaha hai na ki tu mujhe tabhi dikhe jab tu mujhse sach me pyar karta ho isliye tu mujhe nahi dikh raha hai. Phir class shuru hui andar par meri baichaini khatm nahi hui mujhe dekh ke Nidhi ne puch hi lia ki kya ho raha hai tujhe to mene kaha ki meri tabyat kuch thik nahi lag rahi hai par mai janti thi ki baat to kuch or hi hai. Waha projector par class chal rahi thi to class me andhera tha kuch samay baad achanak se class ka ek Darwaja khulta hai andhere class me achanak thodi Roshni aati hai mai waha ekdum kinare baithi hui thi darwaje se bahut dur, or mera dhyan bhi sab ki tarah darwaje ki taraf gaya or waha se tu jhaka or siddha teri nazar dur baithi mujhse mili, wah! Kya filmy scene tha hamesha ki tarah, hahaha…

Phir uske baad sabhi ko round par leke gaye plant dikhane ke liye tab tune phir meri taraf dekha muskurahat ke sath,nahi pata kyu ye to tu hi janta hai ek Khushi thi tere chehre pe, par mujhe laga ki tu mujhe chidha raha hai to mene sar ghuma liya ,actualy mai sharma gai thi.Or phir tujhe dikhane ke lie mai apne class wale ladko se bate karne lagi.

Par uske baad tu mujhse phir wese hi nazarein churane laga jese tu pehle karta tha ekdum ghabra sa jata tha mujhe dekh ke bilkul baichain or waha se bhag jata tha, ese ki koi bhi tujhe dekhe to hasne lag jaye , mai khud has deti thi , ise hi dekh kar Jamuna aj bhi tujhe yaad kar ke hasti hai, par tu esa kyu karta tha ye to tu bata sakta hai na…?

Are ek baat or batau 2014 me jab Janmashtami tha na us din halki halki barish ho rahi thi Friday tha us din, man kah raha tha ki tu shayad mujhe dikhe par esa bahut samay se na hua tha to dimag nahi maan raha tha par kuch samay baad jab mai dukan ke baramde me khadi thi tabhi ek bike mere samne se gujri bahut hi dhire usme se mai samne wale ka chehra dekh pa rahi thi jo ki bahut jana pehchana tha par yad nahi aa raha tha ki kon hai, or piche wale ka chehra nahi dekh pai kyunki usne dukan ke samne ate sath apna chehra palat liya tha ese jese koi uska chehra na dekh pae magar mene uski shirt dekhi yellow check wali thi to mai samajh gai ki ye tu hi hai kyunki kuch din pehle hi tune facebook me photo post ki thi jisme tune same wahi shirt pehna tha or usse bhi badi baat mere dil ki dhadkan ne bata diya tha ki wo tu hi hai par phir bhi mene confirm karne ke liye teri wahi wali photo dekhi to pata chala ki wo samne wala ladka Atish tha.

Papa ke jane baad mene tujhe pehli dafa hi apne dukan ke samne se gujarte hue dekha tha magar logo ke hisab se tu bahut baar mere dukan ke samne se jhakta hua gaya hai,jese mere bhai Shubham ne to tujhe teen baar dekha gujarte hue ,jab bhi wo mere yaha ata ittafak se tu usi samay waha se gujarta par mai tujhe nahi dekh pati thi ,phir Jamuna ne bhi ek bar tujhe dekha tha ki tu thodi der tak dur se hume car se dekh raha tha or phir waha se chala gaya.

Magar wo Janmashtami wale din ke baad se mene tujhe kai baar dekha apne dukan ke samne se jate hue, kabhi akele,kabhi kisi dost ke sath bike me,to kabhi paidal. Par tu mujhe dekhne hi ata tha kyunki bike mere dukan ke samne aate hi slow ho jati thi or chehra meri taraf mud jata tha ese ki tu kisi ko dundh raha ho, mai ye sab chup kar dekhti thi ,isliye tu kabhi mujhe dekh nahi paya bike se jate hue shayad, sooo sad! Par paidal jab bhi aya tab tune mujhe dekha or tere chehre me ek Khushi bhi dekhi mene jo shayad mujhe tujhe dekhne ke baad hoti hai ,ek baar tu apne kisi friend ke sath bag tanga ke meri dukakan ke steps ke ekdum paas se gujra or ek baar tu shaam ko apne kisi friend ko leke aya or do baar mere dukan ke aage se gujra,pehli baar jab tu gujra to mai tujhe nahi dekh pai kyunki mai customers ke sath busy thi par mere dil ne kah diya tha ki tu mere aas paas hai yaha se gujra hai mera sar apne aap hi bahar ki or ghum gaya tha magar tab tak tu waha se nikal chuka tha to apne shak ko dur karne ke liye mene cctv camera me check kia,or kya pata chala ki wo sach me tu hi tha! Phir to mere Khushi ka thikana hi na raha.Us din meri tabiyat kharab thi,sardi thi us din mujhe ,to mai thandi ka Mausam na hone ke bavjood scarf pehan rakha tha.Kuch samay me or customer aye or mai kuch saman dene ke liye piche mudi tabhi mujhe teri aawaz sunai di or mai turant palti to tu apne kisi dost ko jabran waha khade karke time-pass kar raha tha or mere palat te sath hamari nazre mili or hum kuch 1-2 sec ke liye ekdusre ko dekhte rahe jab tak mujhe customer ne hila kar nahi pucha “kaha dekh rahi ho,kaha dhyan hai”. Phir thodi der baad jab mai wapas bahar jhaki tab tak tu waha se ja chuka tha. Ha thik hai ana-jana rukna-muskurana sab chalta hai, rasta hai wo tu waha se gujar sakta hai, kisi baat pe khush ho sakta, are ha meri dukan ke aage bhi ruk sakta hai road hi to hai na wo koi problem nahi hai is baat ki ,magar doubt to ye hai ki nazar milte sath wahi freeze ho jane wala case samajh nahi ata tera,matlab mera samajh ata hai ki mai tujhe dekhu or ruk jau kyunki shayad koi connection mahsoos hota hai tere sath,par tu kyu ruk jata hai.School time se lekar aaj tak esa hi hota aa raha hai par tu kabhi kuch batata hi nahi hai.

Ek baar 25 July 2017 ko pani tanki ke paas se mai gujar rahi thi shyad gusse me thi or usi gusse ko shant karne ke liye gupchup khane ja rahi thi,gadi bhi speed me thi,par achanak se duur se ek bike aati hui dikhi or meri dhadkan tej hui or scooty ki speed slow ho gai or meri hi nahi us bike wale ki bhi or hum dono bas ekdusre ko dekhte hue cross hue us bich hume pata hi nahi chala kese hamari gadi ekdusre se cross ho gai hume dhyan hi nahi tha bas ekdusre ko dekh rahe the magar kuch bol nahi pae,are wo bike wala tu hi tha,jab waha se gujar gae or hosh aya to gupchup kya pani bhi gale se na utre or ye to bilkul samajh nahi aya ki achanak scooty itni slow kese ho gai or phir wapas se speed pakad li uf main nahi samajh paungi tu hi samjha dena.

Ek baat or yaad hai mujhe papa ke jane ke mai pehle season ka kaam kar rahi thi jo Christmas tha bahut dil se bahut josh ke sath mene kaam kiya tha or isi doran ek din mene dekha ki koi mere dukan ke samne bahut der se khada hai apni bike par,mujhe laga shayad kisi ka intazar kar rahe honge par kuch aadha ghanta ya phir ho sakta hai use jyada khade hokar hamari or dekhte rahe or achanak se bike chalu kar ke waha se chale gaye jo mujhe kuch ajeeb sa laga ki ye kya baat hai phir thode dino me pata chala ki wo tere bhaiya the magar esa kyu hua ye to tu hi bata sakta hai…?

Pata tu mere sapne me har Monday ata hai, hum dono Shiv ji ke kisi na kisi mandir me rahte hai,kabhi Amarnath to kabhi Mahakaleshwar to kabhi kahi,or tu kabhi mera hath pakad ke manata hai ,kabhi hum dono ekdusre ka hath pakad ke sath chalte hai to kabhi tu apne hatho se khana khila raha hota hai.Magar ye sirf sapne me, aankhe khulti hai to sirf tanhai hi rahti hai,kehte hai subah subah ka sapna hamesha sach hota hai par mere sath abhi tak esa kuch nahi hua or ye bhi nahi pata ki esa kuch hoga bhi ki nahi.

Tu kaha kaam karta hai mujhe nahi pata tha bas yahi pata tha ki Canara Bank me teri job lagi hai kon se branch me ye nahi pata tha, phir kahi se malum pada ki tu Mumbai me hai Khushi to hui ki teri job lag gai hai par bahut dukh bhi lag raha tha ki ab mai shayad tujhe kabhi nahi dekh paungi par ye din to Jeevan me kabhi na kabhi ana hi tha.Phir kuch mahino baad mai jab bhi Korba jati thi or raste me Canara Bank ata tha to esa lagta ki shayad tu yahi hai par mene suna tha ki tu Mumbai me hai to bas apne dil ki khwaish samajh kar aage badh jati thi magar ek din jab me dukan ka saman leke aa rahi thi to achanak barish shuru ho gai or mujhe rukna pada kaha ruki pata? Canara Bank me ruki, rukne ke baad mujhe laga ki kyu na andar jake dekhu kahi tu sach me dikh jae andar gayi to puri bank khali thi are matlab customers nahi the yaar phir mai kuch or kadam chali or idhar udhar dekhi dil ki dhadkane tej thi jese hi mai left side turn hui to mujhe tu dikha tera sar niche tha to tu mujhe nahi dekha or mai waha se bhag gai nahi pata tune mujhe dekha ki nahi ya tujhe mere aane ka ahsas hua ki nahi jese mujhe tere hone ka hota hai…?

Us din mujhe bahut dukh hua nahi pata kyu magar jor-jor se rone ki icha ho rahi thi. Mai tere kitne hi poems padhti thi har poem esa lagta hai jese tujhe kisi ki kami hai jis tarah mujhe teri kami hai par mujhe kabhi nahi pata chala ki ye tu kiske liye likhta tha magar teri har poem me mujhe apni hi chavi dikhai deti thi jo bhi pal, jo bhi dard hamare the wo hi tere poems me rahte the. Magar mujhe to nahi pata tha na ki ye kiske liye tha magar phir bhi mai ye sochti thi ki jis tarah mai tere liye ruki hu usi tarah tu kisi ke liye ruka hai to Bhagwan se pray karti ki kam se kam tujhe tera pyar dila de hum dono me se koi to khush rahe. Agar mujhe pata hota to sachi pakka wada mai tujhe usse milane ki puri koshish karti kyuki mai teri premika nahi teri dost banna chahti hu esi dost jise tu bina jhijhke sab kuch bata sake. Kyunki ek anjan premika se jyada acha ek jana hua dosti ka rishta hi acha hai, kyu kya bolta hai…?

Tujhe bhulane ki bahut koshish ki mene par esa ho nahi paa raha tha, mujhe sab shadi ke liye puchne lage to mene bina soche samjhe ha kardi phir ye socha tujhse duur jane ka shayad ye hi ek tarika hai. ‘Kitni ajeeb baat hai jise dil se nikalna chahti hu, yaad me lana nahi chahti use hi roz yaad karti hu sirf isliye ki koi or mere dil me phir jagah na bana sake, kyunki us dard ko dobara nahi sah sakti. Iska matlab kya hai pata ,tu to mere liye nafrat hai, magar dil ki ek diwar ban chuka hai ,ek esi diwar jiske tutne par mai teri nahi kisi or ki ho jaungi’. Esa sochne ke baad bhi koi fayda nahi hua mai kisi or ko apna hi nahi paa rahi thi jab jab koshish karti tabhi tera hi khayal aa jata man me ya phir kuch esa ho jata ki mujhe esa ehsas hota ki mai teri hi hu or tu mera.

Mai tera facebook account bahut check karti thi teri photo dekhne ke liye, tere updates dekhne ke liye esa lagta tha ki mai tere aas-pas hu. Magar mai tujhe ye nahi bata rahi hu ki mai tera account check karti thi mai to tujhe ye batana chah rahi hu ki mai jab bhi tujhse duur jane ki koshish karti ya kisi or ko apne sath khade karne ki koshish karti to kai baar esa hua hai ki usi din turant ek notification facebook ka show hota friend suggestion ka jisme tera suggestion diya hota,jab mene kai logo se is notification ka matlab pucha ki koi agar frequently hamari ID check kare to is tarah se notify hota hai,to mai phir isliye aage badhne se ruk jati kyunki ye notification batata ki kahi na kahi tere dil me bhi mere liye kuch to hai nahi to tu isme bhi meri cheating kyu karta matlab mai tere ghar ke chakkar lagati hu to tu bhi mere ghar ke chakkar lagata hai ab mai tera ID check karti hu to tu bhi mera ID check karta hai magar kyu…? Tu kab bataega???

Pichli baar jab mene likha to ye kaha tha ki mujhe tera intazar rahega magar is baar kahungi ki agli baar likhu to mai tere liye sawaal nahi teri or se apne liye sare jawab likhu. Kyu? Itna to maan rakhega na meri baat ka ek dost ke hi naate to ab agli baar baat karenge tere jawab ke sath……


7 Launchers recommend this story
launchora_img
launchora_imgLaunchora User
4 years ago
Hello i am mis brenda i have private disscusion with you via at(piesbrenda106@gmail.com)
launchora_imgHarsh Mishra
4 years ago
Use na to tumse Koi Fark padta hai na hi Tumhare na Tumhare Sawal Se Na Tumhare Intezar Se Na Tumhari Nafrat se please Uske Piche time waste mat karo Jivan Mein Aage badho aur sab log Ek Jaise Nahin Hote Achcha Socho gi Aane Wale Samay Mein Sab Kuchh Achcha hoga
launchora_imgHarsh Mishra
4 years ago
Kyu uska javab chahti ho mujhe lagta hai use tumse pyar nahi hai
More stories by Srishti
Search For LOVE...

Thrist to seek love which is true , pure and innocent.

10
MY WISH

It's my first romantic poem.Have so many grammatical mistakes ,just feel it.

30
NO ONE KNOWS......

This is the feeling of every human that "NO ONE KNOWS".

40

Stay connected to your stories

SAWAL continued

114 Launches

Part of the Love collection

Updated on January 02, 2020

Recommended By

(7)

    WHAT'S THIS STORY ABOUT?

    Characters left :

    Category

    • Life
      Love
      Poetry
      Happenings
      Mystery
      MyPlotTwist
      Culture
      Art
      Politics
      Letters To Juliet
      Society
      Universe
      Self-Help
      Modern Romance
      Fantasy
      Humor
      Something Else
      Adventure
      Commentary
      Confessions
      Crime
      Dark Fantasy
      Dear Diary
      Dear Mom
      Dreams
      Episodic/Serial
      Fan Fiction
      Flash Fiction
      Ideas
      Musings
      Parenting
      Play
      Screenplay
      Self-biography
      Songwriting
      Spirituality
      Travelogue
      Young Adult
      Science Fiction
      Children's Story
      Sci-Fantasy
      Poetry Wars
      Sponsored
      Horror
    Cancel

    You can edit published STORIES

    Language

    Delete Opinion

    Delete Reply

    Report Content


    Are you sure you want to report this content?



    Report Content


    This content has been reported as inappropriate. Our team will look into it ASAP. Thank You!



    By signing up you agree to Launchora's Terms & Policies.

    By signing up you agree to Launchora's Terms & Policies.