Dil me kuch ajeeb si uljhan thi
Khushi thi magar ghabrahat bhi thi
Samne mere mera bhavishya tha
Magar piche jo chhuth rha vo mera ghar tha
Ma-baap ke naam ko roshan karne ka pran tha
Magar andar hi andar unhe akele chor jane ka gum tha
Khud ko behla fusla kar
Sb kuch chor char kar
Hum vahan se chal diye
Ek nayi rah naye shehar ko nikal liye
Ye naya shehar khwabon ka shehar tha
Sundar thi har chiz aakhir nizamon ka shehar tha
Kuch samay liya humne aur kaam me lag gaye
Na jane kab ghante din aur mahine guzar gaye
Na neend ka thikana tha
Na khane ka bahana tha
Na apna vo bistar tha
Na mamta ka vo aanchal tha
Iss naye shehar ki zindagi kuch aast thi kuch vyast thi
Darasal yahan khushiyon ki halat zara past thi
Ab thapkiyan nahi thakan thi
Sapno ke naam par kuch kaudiyan bas nilam thi
Kehne ko to yahan har sukh tha
Magar maa ke hath ki rotiyon ka swad ab kahin ghum tha
Story