Sochti Hun aaj Dil me chupe lafz Kalam se keh daalun...
Kaagaz lun aur aapke liye bhi EK kavita likh hi daalun..
Ha yaad hai mujhe kaise maa ne btaya tha...
Ke jab main duniya me aayi, aap muskuraye, ek aanshu aankhon me aaya tha....
Vo aanshu na gum ka tha, na fikr thi usme...
Vo aanshu sneh ka tha, bas zazbat the usme....
Vo ek khamosh vada tha ki sath Tera nibhaunga...
Tu jis raaste par jayegi main Tera hosla badhaunga...
Tujhe tazurbe Apne batlake, main jeena sikhaunga..
Jo mayus hogi to tujhe hasana sikhaunga...
Samjhaunga ki Zindagi na kisi sharton par chalti hai...
Jo himmat na hare to, Zindagi haskar phir milti hai...
Apni kamiya btaunga, the adhure khwab sab keh jaunga...
Tu pareshan na hona gudiya, tere sapne pure karte jaunga...
Hui Jo jeb gar khali, to tujhse ye bhi chupayunga...
Phir bhi Ghar aane par Tere pasand ke khilone launga...
Jo thamegi tu ungliyan, tujhe chalna sikhaunga....
Tujhe thokar lagegi to, ha marham main hi lagaunga...
Jab tu dur jayegi, main bacchon sa zidd kar jaunga...
Tu maa ki tarah dante ye soch main
muskuraunga...
Phir... ek wada tu bhi kar dena ki tu Yun hi khilkhilayegi...
Mere aangan ko mehka kar tu nayi kahani bunne jayegi...
Har roz mere haathon se bhi, Ek nivala khayegi....
Ye masumiyat ye shararat Umar bhar karti jayegi...
Jo palkein bhengegi, to mujhe Karan batayegi...
Mere samjhane par phir tu gale mujhko lagayegi....
Mana maa ki tarah mere baahon me sukoon nahi mil payega...
Par Tere naam ke aakhir me Mera naam bas jud jayega...