Launchorasince 2014
← Stories

Nirbhaya aur Asifa ka milan

Aaj jannat me kuch ajaab hua
NIRBHAYA ka ASIFA se milan hua
The dono ke jism khoon se sane
Par sun rhi thi dono hi tane
Ek ne suna ke vo raat ko kyu nikli
Tha sath ek ladka tu besharam hi hai pagli
Dooji ka kasur bas itna samaj ne nikala
Rahim ki vo beti kyu sath uska nibhana
Kha Asifa ne ek baat puchun Aapa
Kya mujhse hi tha hawas unhe mitana
Unki bhi to behan, biwi ya beti hogi
Kya ye sab dekh vo nahi roti hogi
Nirbhaya ko bhi kayi saalon se ye tha janna
Kyu march kar ke hi logon ko hai aakrosh jatana
Dono ne phir ki ek bat
Chale khuda, bhagwan, Jesus ke pas
Pucha dono ne kasoor kya hmara tha
Kya ye sansar isi tarah tumhe chalana tha
Hmare jaisi kayi bebas padi hai aaj bhi
Koi rajneeti to koi mazhab ke beech fasi hai aaj bhi
Tum maun kyu ho bol do
Sunte nahi kyu bol do
Duniya tumhari loot gayi
Tere bhakton ke hathon bik gayi
Koi Nirbhaya bani
Koi Asifa bani
Kal durga aur salma bhi aayengi
Vo bhi sawaal yahi dohrayengi
Ek kaam kro Allah, prabhu
Maszid me raho ya mandir me baso
Rehna hai to insan ban
Insano ki rooh me baso