launchora_img

Silsila

Info

Ab Bhi Yaad Hai Mujhko ,

Wo Milti Thi Mujhse Khwaab Ki Tarah,

Uska Pyara Sa Chehra Uski Pyari Si Aankhein,

Honth The Uske Gulaab Ki Tarah...

Chalte Chalte Raah Main Mili Thi,

Tab Usse Koi Rishta Na Tha,

Na Jaane Kab Baatein Hone Lagi,

Humara To Usse Waasta Na Tha...

Wo Kareeb Aate Hi Gaye,

Sapne Mann Hi Mann Sajate Gaye,

Kuchh Bhi Bura Na Laga Usme,

Uski Har Khoobi Ko Apnaate Gaye...

Par Darta Tha Dil Soch Ke,

Aankhon Main Muhabbat Chhupa Nahi Sakta,

Wo Dil Main Baste Jaa Rahe The,

Jinhe Main Kabhi Paa Nahi Sakta...

Achanak Hi Roz Wo Baat Hi Baat Main,

Kisi Ke Baare Main Batane Lage,

Main Chup Chap Sunta Raha,

Wo badi Saadgi Se Sunate Rahe...

Poocha Jo Maine Kaun Hai Wo,

Kis Ki Yaad Main Mehfil Saja Rakhi Hai,

Usne Kaha Yahi To Hai Wo ,

Jise Humne Dil Main Basa Rakha Hai...

Muhabbat Hai Wo Humari,

Unhe Bhi Hai Muhabbat Humse,

Main Chhupa Ke Aansu Hans Ke Bola,

To Yahi Hai Wo Jise Duniya Se Chhupa Rakha Hai...

Haan Hans Raha Tha Main Uspar Nahi ,

Apni Taqdeer Par Hans Raha Tha,

Kya Rishta Hai Mujhse Wo Kaun Hai,

Na Jaane Kya Kya Soch Raha Tha...

Dheere Dheere Door Hone Lage,

Apne Hi Aap Main Khone Lage,

Na Jaane Kyun Dil Ko Chot Lagi,

Wo Apna Na Tha Khud Ko Samjhane Lage...

Sach Hi To Hai Wo Apna Na Tha,

Lekin Beeta Pal Bhi Sapna Na Tha,

Wo The Kisi Aur Ke Phir Bhi,

Usne Jo Kiya Kyun Jo Karna Na Tha...

Waqt Bhi Guzarta Raha,

Hum bhi Charagon Ki Tarah Jalte Rahe,

Wo Kabhi Door Hote Rahe,

Wo Kabhi Paas Aate Rahe...

Ek Kashmkash Si Rahi Har Mulaqat Main,

Main Apna Sa Lagta Tha Uski Har Baat Main,

Jo Mujhe Samjhana Tha Wo Khud Na Samajh Sake,

Main Basta Jaa Raha Tha Uske Khayalat Main...

Mere Kareeb Aana Bhi Gawara Na Tha,

Unka Mujhe Bichhad Ke Bhi Guzara Na Tha,

Doob Rahe The Majhdaar Main Is Qadar,

Humari To Kashti Ka Koi Kinara Na Tha...

Waqt Ne Mere Dil Ko Nichoda Is Kadar,

Muhabbat Aur Uske Naam Se Door Hone Lagaa,

Bahut Ho Gaya Ab Nahi Chahna Usko,

Yahi Soch Ke Sheher Se Jaane Laga...

Keh Diya Usse Jaa Raha Hoon Main,

Mere Liye Ab Ye Sheher Anjaan Huya,

Shayad Mujhse Bichhadta Dekh Ke,

Use Muhabbat Ka Ehsaas Huya...

Usne Kaha Jaane Se Pehle Ek Baat Sute Jaana,

Main Kaha Waqt Nahi Jo Kehna Hai Abhi Batana,

Usne Kaha Ab Mujhe Tumse Muhabbat Hai,

Maine Kaha Ho Sake To Mujhe Bhool Jaana...

Usne Kaha Mar Jaayenge,

Hum tu Is Qadar Jaa Nahi Sakta,

Main Kaha Ae Jaan Meri,

Is Janam Main Tumhe Apna Nahi Sakta...

Beshaq Ki Hai Muhabbat Tumse ,

Tujhe Kho Kar Sukoon Se Reh Na Payenge,

Tum Meri Yaad Main Aansu Na Bahana,

Yakeen Karna Hum Bhi Tujhe Bhool Jayenge...

Bhool Gaya Hoon Sab Kuchh Magar,

Wo Muhabbat Ka Saaya Ab Bhi Yaad Hai,

Uske Sang Chalte Chalte Sahil Pe,

Paawn Main Chhuba Tha Kanta Ab BHi Yaad Hai...!


1 Launcher recommend this story
launchora_img
More stories by Uzair
Dikhawa

Azma Kr dekh lo

00

Stay connected to your stories

Silsila

40 Launches

Part of the Love collection

Published on March 31, 2017

Recommended By

(1)

    WHAT'S THIS STORY ABOUT?

    Characters left :

    Category

    • Life
      Love
      Poetry
      Happenings
      Mystery
      MyPlotTwist
      Culture
      Art
      Politics
      Letters To Juliet
      Society
      Universe
      Self-Help
      Modern Romance
      Fantasy
      Humor
      Something Else
      Adventure
      Commentary
      Confessions
      Crime
      Dark Fantasy
      Dear Diary
      Dear Mom
      Dreams
      Episodic/Serial
      Fan Fiction
      Flash Fiction
      Ideas
      Musings
      Parenting
      Play
      Screenplay
      Self-biography
      Songwriting
      Spirituality
      Travelogue
      Young Adult
      Science Fiction
      Children's Story
      Sci-Fantasy
      Poetry Wars
      Sponsored
      Horror
    Cancel

    You can edit published STORIES

    Language

    Delete Opinion

    Delete Reply

    Report Content


    Are you sure you want to report this content?



    Report Content


    This content has been reported as inappropriate. Our team will look into it ASAP. Thank You!



    By signing up you agree to Launchora's Terms & Policies.

    By signing up you agree to Launchora's Terms & Policies.