Mai baithun in khayalon mein gum
beysabra si, betaab si
sochun ke kyun yun khale mujhe
behti hawa ki ye saadgi
Maine kaha "kahaan beh chali ?
le chal wahin mujhe saath hi,
mai bhi udun sang sang tere
kabhi subah, kabhi raat bhi"
Usne kaha "mai to amar,
banjaari hun azaad si,
chidiya h tu Zindagi ki par
pinjre mein band barbaad si
Jo le chalun tumko mai sang,
banjayein saathi raftaar ke
kahin kho na jana vaadiyon mein tum
magar sukoon ke talaash mein"
"Kaagaz ka note ban ud chalun,
jo ho lifafa ye zindagi,
hawa tu us sikke si bin
jiske mile na manzil kabhi"