Launchorasince 2014
← Stories

ajana

jab milte hai do waqt

asmaan hojaata thoda sawla hai

jab milta hai mujhe tu

mann mera hojata thoda bawra hai



mann bawra hone ko kehta hai, par tu hai ki milta hi nahi. ghadi ke kaanto sa haal behaal hai, aur tujhpe waqt ki hawao ka koi zor hi nahi hai? chalo, thoda aur karlenge intezaar, ajana, ajana jab aana hoga. jab milenge do waqt, shaam saawli si hongi, aajana, par suno thoda, thoda jaldi aana. vo kya hai na ab intezaar se thodi banti nahi hai, tick tick ki awaz mujhe jamti nahi hai. smjhe na? 


par ab tere bina, yaha meri raatein hai jese bina nindiya ki raatien.