ye raat, akeli
mein karu baat, akeli
ye jo yaad hai na, badi ajeeb hai
iss rukhe se mann ko,
bheega jaati hai yaadein,
meri adhoori baaton ka
afsaana banjaati hai ye yaadein
tujhe yaad karu ya lamho ko
ye smjhti nahi hai yaadein
jaanu to bas itna jaanu
teri ek jahalak tarasti hai meri aankeh
tu aye kabhi, iss gali
to milke jaana
vo vaadein jo nibha rahi mein aaj bhi
tod ke jaana
din mein nahi tu shaam ko aana
ek aakrhi raat guzaar ke jaana
jismaani nahi, ruh waali mohabbat karke jaana
zindagi bhar ka nhi,
ek pal ka ishq hi sahi
bas kuch pal, mann mein theher jaana
tu aana, mujhe mujhse milwaana
tu aana, mera waqt mujhe lautana
zindagi bhar ka nahi
ek pal ka ishq hi sahi