Launchorasince 2014
← Stories

kuch baat karni hai

tere mere beech kuch to hai unkaha 

tu nhi pass mere, kyu saath humara hai adhoora

ab aur intezaar karwaake yu na satao

kuch baat karni hai, zara kuch pal theher k aa hi jao


tumhari aankeh bhot kuch kehti hai, 

kyu lad khada jaati  zubaan hai

mujhko nhi rehna yaha, le chal mujhe kahi 

kahi door, esi jagah na ho aur koi, haan bas vahi


mujhe tumse kuch baat karni hai, zara suno

zara kuch pal theher jaane do, tum bas yhi ruko

ye jo chale jaane ki baat karte ho, kyu sehem sa jaata hai mann

najane kya jaadu kiya hai tumne, tere binaa feeka lagta hai sab


kabse hua hai, ye nhi maloom

na mein jaanti hu ki kab hui tere naam se hui itni mushoor

ki ab log mujhe mere naam se nhi bulaatein

kyu mere saarein khwaab teri gali hai jaatein


vo jo banjaarein hote hai na, vesi si hogyi hu

idhar udhar, bas bhatke bhoole teri aur chali jaa rhi hu

tu raasta de mujhe, rah de mujhe

kuch baat karni hai mujhe, do pal sun to le