kya itni buri hu mein ki sab bhula diya tumne
kya itni buri hu, ki zindagi se apni hata diya
yaad arhi ho tum, kya karu
uljhi hui hu abhiman aur tumhare badlaav ke beech
yaad arhi ho tum, kya kru
kya itni buri hu mein ki naata hi tod diya
kya itni buri hu mein, ki yaadon ko tumne bhula diya
kya itni buri hu ek baar bhi mudke na dekha tumne
ek pal bhi na ehsaas meri mousiquie ka hua tumhe.
tumhari har muskurahat ko muskaan badla tha meine
tumhari har khushi ka hissa hona chaha tha mene
tumne to roop esa badla ki girgit bhi sharma jaye
kya itni buri hu mein, bolo kya itni buri hu
waqt, waqt hi to maanga tha tumse
waqt, kisika nhi hai waqt
tumhari hi trh hai waqt, kisika nhi