usne pucha kesi ho, maine has kar kaha badiya
kehna to bhot kuch chahti thi, par muskura kar chali gyi
jese sard hawa mein halki si dhoop padti hai, vesi thi vo
vo jiske saath baatein kabhi khatam hi nhi hoti thi meri
ab lagta hai esa, kuch galat kar gyi mein
lagaav rakh ke, zakham ko gehre kar gyi mein
duniya si ho gyi thi vo meri, dost nhi bhen hogyi thi meri
ab jab bhi koi puchta hai uske baarein mein, rona sa ajaata hai
koi puchta hai kesi ho, sochke ye ki kesi hogyi hu, khud pe gussa aata hai
tum sun rahi ho? yaad aati hai iss pagal ki?
esi hogyi hu, ki pehchaan mein nhi aati khud ko
tum to bhot khush hogi, tumhe kaha kabhi meri parwah thi
yu beech raaste chodhke chali gyi, roi mein bhot, fir bhi tum na ruki
bhot jaldi bhool gyi tum, par ab 1 saal hone jaa raha hai
bhot waqt dediya tumko, lagta hai ab tum bhool chuki ho sab
chalo badiya hai, acha hi hai
jaha khi bhi ho, khush rehna
meri yaad aye, to has kar humaari baatein yaad karlena
par tum ab wapis mat aana,
wapis mat aana, kyuki mein bhot asaani se maanjaungi
dodbara tumse lagaav rkh bethungi,
aur ab tumse shikayetein bhi kya karu,
vo to apno se kiye jaatein hai.
to ab koi puchta hai kesi ho,
kehna chahti hu, thoda takleef mein hu
par, aadat hogyi hai
has kar badiya kehne ki zubaan ko aadat si hogyi hai
tumse ab kbhi mulakaat na ho, dua karti hu
tumhe karma bhi maaf karde, ye dua karti hu
par tum ab wapis mat aana,
vo kya hai na, thoda takleef mein hu.