tick tick tick, 3 bje hai shayd
raat aur andheri hoye jaa rhi hai,
par subah bhi to aane waali hai.
har raat ke baat, savera. har aansu ke baad ek muskaan,
yahi bolte hai log, sahi hi bolte honge.
par uss muskaan ke baad wale aansu kyu koi nhi batata.
kyu yaadon ke jhund mein khoye hue toote dil ko nhi jodta?
ab isme mera kya kasoor, ki abhi bhi samay ne baandha hua hai mujhe
ab isme mera kya kasoor, tumhari yaadon ne ghera hua hai mujhe
tu khush hai, mein nhi
ab darr sa lagta hai, logo se lagaav rkhne mein
teri trh yu beech raastein na chodd jaye koi,
ab isme mera kya kasoor, jo mein zyada parwah kar betha
isme mera kyaa kasoor bol na ab, bolo zara
kya karu ab?
yaad aati hai, kya karu.
bolo na ab,
ki kya tumhari trh hawao mein beh chalu? wapis na au?
bolo na,
kya karu?
yaad aati hai,
batao iss dil ka kya karu?