launchora_img

Naam (Part -6)

Info

Khushi.

Mai kaam se ghar aarhi thi, bag meh chabbi khojtey hi rhi thi ki ek parcel dikha. Usme Kolkata ka address chappa hua tha. Uthane meh bharri sa tha. Dhyaan se dekha tho Aditya ke ghar ka address tha. Mai thaaki hui thi, andhere kamre meh lights jalai. Kuch 10.30 baj rahe the. Fridge meh subha ka banaya hua tarka padha tha. Or kuch rotiya jo mai bahar se kharid ke layi thi. Usko garam karke khaa liya or so gayi. Voh parcel table pe hi rakh diya, subha dekhungi.

      Subha ke 7 baje meri neend khuli. Chai banana or ghar ke safai ke kaam meh lag gayi. Aseh abb mai akele rehti thi. Mere jo pehle wale roomates the voh kuch do saal pehle apne ghar laut gaye. Abb idhar ekele rehne ki addat bhi hogayi thi. Ashi bhi aajkal thoda kum aane lagi thi, uske school hotey the. Or office se aatey hue mujhe roz late ho jaata hai. Chai banatey banatey, laptop ring kiya. Maa ka video call tha. Unhone itna tho seekh hi liya tha, abhi tak. 

"Betu kya banarhi hai?" 

"Chai."

"Bus chai? Kitni baar bola hai khali chai mat piya kar, saath meh kuch khaya kar. Phir sir meh dard ho jayega. Phir tablets khati phiregi."

"Areeh maa, maine khaya tha. "

"Kya khaya zara batana tho?"

"Uhmm maggie." Maine sochkar bola.

"Kitni bhi badhi hojaye, teri baato se pata chal jaata hai kab jhuth bol rhi hai." Maa ne mooh banatey hue bola.

"Acha baba, cereals khaa lungi. Baba kaise hai?"

"Pucho mat tumhare baba ne mera jeena haram kar diya hai. Kal customer care wale se lad rahe the. Unka 31 rupayee ka balance jo kaat liya. Pura ghar sir pe utha rakha hai."

"Maa tum tho jaanti ho baba ko. Baat 31 rupaye ki hai nhi, baat hai ki galat hai na yeh."

"Tum hi sambhalo, baap beti dono ne pagal kar rakha hai."

"Haha."

"Acha suno sharma ji ke yaha shaadi hai. Tumko aana chahiye. Card mila kya tumko?"

"Haa ek parcel, aaya hai shayad. Mereko mann nhi hai."

"Tum kabhi aana hi nhi chahti, akhiri baar bhi hume hi Delhi bulaya tha. Budhape meh maa baap ko itna satati hai. Mera kya hai mar jaungi ek din teri raah dekhtey dekhtey.."

"Oyee maaaaa. Stop this emotional blackmailing huh. Dekhti hu na. Chuthi bhi tho milni chahiye na. "

"Yeh chuthi bhi tho milni chahiye natak kissi or ko dikhana. Manali gayi thi jab apne uss Ravin or Avantika ke saath. Tab kaha se mili chuthi? "

"Maa boss ka call araha hai rakhti hu!" Bolke maine turant phone rakh diya. Parcel khola tho ek golden envelope mila or saath meh ek mithai ka dabba. Card maine kholke dekhna zaruri na samjha. Mithai fridge meh rakh di. Aditya ki shaadi meh abb kya channa mereya gaane jau?

    Mai humesha ki tarah 9 baje tak taiyaar hoke nikal gayi. Traffic thoda zyada tha aaj. Lekin abb adat hogayi thi iss awaz ki bhi. Office pahuchteh hi sabko 'Good morning' boltey boltey apne cabin tak pahuchi. Iss morning meh kuch bhi good nhi tha, lekin kehtey hai na, never mix personal and professional lifes. Shruti har subha ki tarah mere cabin meh aayi kal wali files leke.

"Shruti, mereko aaj yeh reviews complete chahiye. Bahut din se pending hai. Or ha jaatey jaatey Sanjay ko bolna maine bulaya hai."

"Okay ma'am. " Shruti bolke chali gayi.

Thodi der meh Sanjay hasstey hue aaya. Sanjay ke bareh meh do cheeze. Ek voh bina matlab ke hassta hai. Dusra mereko bilkul pasand nhi uska yeh over the sea attitude. 

"Sanjay tumko jo kaam diya tha last week hogaya?"

"Nhi ma'am. Kar hi raha tha." Usne phir muskuratey hue kaha.

"Kal tum 6 baje office se nikal gaye. May I know the reason?"

"Voh ma'am…"

"Mereko jawab mil gaya. Jao. Aaj mereko complete chahiye. "

"But ma'am shaam tak complete nhi hoga"

"Complete karke hi jaana nhi tho kal mat aana." Maine keh diya or Sanjay sir jhukaye chala gaya.

    Mera phone baja. Ek unknown number display kiya.

"Hello?"

"Khushi Di hai kya?"

"Kaun?"

"Drisha." Drisha Aditya ke chacha chachi ki beti thi.

"Oh my god. Drisha. Sorry pehchana nhi. Awaz bahut badal si gayi hai"

"Voh choro. App aarhi ho na shaadi meh? Uncle aunty bole ki unse app maan nhi rahi ho"

"Dekh rahi hu Drisha."

"Adi bhaiya ko bhi acha legaga. "

"Umm. Shayad."

"Kam se kam ek haftey pehle aana. Kitna time hogaya hai. Almost 6 saal. Sab aise ekdum busy hogaye."

"Haa. Kaisi ho?"

"Abb iska jawab apko Kolkata meh aake milega."

"Acha mai tumko batati hu shaam tak. Theek hai na?"

"Okay! Sab aarahe hai. App mana mat karna please!".

Din soch soch meh hi khatam hogaya. Aaj shaam ko mai 6 baje nikal gayi. Mere mann meh Drisha ghum rhi thi. Jaana chahiye ka? Awkward nhi ho jayega? Adi ki shaadi, voh bhi kissi or se. Mai jaake kya karu? Mera dimaag sawalo se bhara tha jo mai khud se hi karri thi.

Ghar ke bahar. Aaj ek note padha tha. 

"See you in 5" yeh Ravin ka tareeka tha. Ravin mera neighbor tha, or hum dost the char saal se. Duniya bhar ke saare atpatey tareeke uske pass the.

Mai fresh hoke change karke baith gayi. Thodi der meh Ravin bhi agaya.

" Tho madam ji. Kiss baat pe soch rhi ho itna?"

"Tumko kisne bola mai soch rhi hu?"

"Lag tho raha hai."

"Kuch nhi"

"Okay."

"Acha tum itna insist kar hi rahe ho tho batati hu. Kolkata janeka hai. And mai confused hu jau ki nhi. "

"Kyu? Jao na. Kitna kaam karogi?"

"Shaadi hai kisi ki."

"Acha naam kya hai ladke ladki ka?"

" Dekha nhi card kholke." But obvious nhi tha? Adi weds something.

"Kaha rakha hai?"

"Table pe dekh lo" Ravin utha or table ki taraf gaya. Card khola or usne meri taraf dekha.

"Naam tho interesting hai dono ka. Drisha weds Abhimanyu. Sunne meh match karra hai"

"Kya, ek second dikhao!!!" Maine turant dekha. Sunehre aksharo meh Drisha weds Abhimanyu naam likha tha. Date or time ke saath. Maine bina card dekhe hi soch lia ki Adi ka card hoga. Mai bhi pagal hu. Lekin matter nhi karta. 

"Ravin."

"Haa bolo."

"Mai Kolkata jaa rhi hu"

"Hum" Ravin ne ankh martey hue bola. 

"Oho tum kiss liye?"

" Mera vaha pe kuch kaam hai. Interior designing ka. Ghum bhi lunga."

"Okay. Aaj kaunsa show dekhna hai?"

"Umm. Sochne do. Naagin?"

"Mereko samajh nhi aata. Why are you so obsessed with her."

"Areey she's sexy."

"Akele dekho tho jaake. Mera mood nhi naagin ka."

"You're just jealous of her." Maine gate pe padha ek chappal phenk ke mara or voh miss hogaya. Hum dono hassne lage. 

     Kuch der meh Ravin mere couch pe hi khaatey khaatey so gaya. Maine usko kuch odhakar. Apne room meh sone chali gayi. Jaldi hi neend aagayi.


Be the first to recommend this story!
launchora_img
More stories by Adity
Naam (Part-7)

Begin from the beginnings.

00
Naam(Part-5)

Begin from the beginnings.

00
Naam (Part -4)

Begin from the beginnings.

00

Stay connected to your stories

Naam (Part -6)

52 Launches

Part of the Love collection

Updated on May 25, 2021

Recommended By

(0)

    WHAT'S THIS STORY ABOUT?

    Characters left :

    Category

    • Life
      Love
      Poetry
      Happenings
      Mystery
      MyPlotTwist
      Culture
      Art
      Politics
      Letters To Juliet
      Society
      Universe
      Self-Help
      Modern Romance
      Fantasy
      Humor
      Something Else
      Adventure
      Commentary
      Confessions
      Crime
      Dark Fantasy
      Dear Diary
      Dear Mom
      Dreams
      Episodic/Serial
      Fan Fiction
      Flash Fiction
      Ideas
      Musings
      Parenting
      Play
      Screenplay
      Self-biography
      Songwriting
      Spirituality
      Travelogue
      Young Adult
      Science Fiction
      Children's Story
      Sci-Fantasy
      Poetry Wars
      Sponsored
      Horror
    Cancel

    You can edit published STORIES

    Language

    Delete Opinion

    Delete Reply

    Report Content


    Are you sure you want to report this content?



    Report Content


    This content has been reported as inappropriate. Our team will look into it ASAP. Thank You!



    By signing up you agree to Launchora's Terms & Policies.

    By signing up you agree to Launchora's Terms & Policies.